dashte tanhaaii main ai jaane jahaan larzaan hai
terii aavaaz kay saaye tairay honthon kay saraab
dashte tanhaaii main ai jaanejahaan doorii ke KhasoKhaak talay
khil rahay hain tairay pahloo ke saman awr gulaab
uth rahii hai kahiin qurbat sey tairii saans kii aanch
apnii khushboo main sulagtii huvii madham madham
door ufaq par chamaktii huvii qatraa qatraa
gir rahii hai tairii dildaar nazar kii shabnam
is qadar pyaar sey ai jaan-e-jahaan rakkhaa hai
dil kay rukhsaar peh is vaqt tairii yaad nay haath
yoon gumaan hoataa hai garche hai abhii subah-e-firaaq
Dhal gayaa hijr kaa din aa bhii gaii vasl kii raat
dashte tanhaaii main ai jaane jahaan larzaan hai
terii aavaaz kay saaye tairay honthon kay saraab
rat u dil may tayri Khoi hooi yaad aaii
jaisay wiraanay main chupkay sey bahaar aajaay
Jaysay sahrao may holay say chalay baday naseem
Jaysay beemaar ko bay waja karar a jay.
Hazrat-e-Faiz Ahmad Faiz.
chahat main kaya dunia dari,
ishq main kaisi majboory
logoon ka kaya samjhanay do,
un ki apni majboori,
rok sako to pehli barish ki boondoo ko tum roko,
kachhi mitti to mehkay gi hay mittee ki majboory,
jab tak hasta gata mosam apna hay sab apnay hain,
waqat paray to yaad aa jati hay masnooi majboory,
main nay dil ki baat rakhi or too nay dunya waloon ki,
mairi arz bhee majboory thi, un ka hukam bhee majboory,
muddot guzri ik waaday par aaj bhee qaim hain mohsin,
hum nay sari omer neebahi apni pehli majboory.
chahat main kaya dunia dari ishq main kaisi majboory
logoon ka kaya samjhanay do un ki apni majboory
Jana
Tum Chalay Ana!
Jub bhe tumhay pukaroo
Tum chalay aana
Kanto pay chalay perna
Per tum chalay aana
Jub zindagey pay syahey
Chanay lagay hersu
Ek shama he jalanay
Tum chalay aana
Jub saray mayray yay dost
Bun jay mayray Rakeeb
Tub ban kay mayray rafeek
Tum chalay aana
Jub chornay lagay mujh ko
Mayra apna he saya
Tub bun kay mayrey chaya
Tum chalay aana
Jub bujhnay lagay yay dil
Honay lagoo bay jan
Tab bun kay mayrey jan
Mayrey jan chalay Aana
Jub bhool jaoo may hansna
Ronay lagay yay Ankhay
Tub bun kay muskarahit
Muskerana or chalay aana
Jub bhool jaoo may rasta
Na khatam ho mayra safar
Tub bun kay mayrey manzal
Tum chalay aana
Jub na rahay koey Umeed
Honay lagoo may neerash
Tub bun kay mayrey aas
Tum chalay aana
Jub thak jaoo may bohat
Mannay lagoo may har
Tub bun kay mayrey jeet
Tum chalay aana